Saturday, 12 January 2013

ANSOO NAHI THAM RAHE HAIN AAJ



Lagatar ansoo kyun baih rahe hain aaj,
Lakh khoshishon ke baad bhi ,
nahi tham rahe hain aaj 
Yaad aa rahe  hain, woh  beete  hua  lamhe,
Yaad  aa rahi  hain ,woh beeti hue baten,
Hamari  tumhare ,
woh  pyaree mulakaten ,
Aur tumhare woh pyar bhari baaten  .

Jitna  bhulana chaha ,
 Utne  yaad aaye  tum,
Ankhen hardum   rahti hai numm.
Ye  kambhakt dil hai bada beimaan ,
Bar bar mere  zahan ko ,
karta hai pareshan ,
Band ankhen bhi dekhti hai tumhe har  pal 
Jane kahan tum ho gaye ho ojhal 

Rab mere ,ye batha 
 ab ja oon mai  kahaan ,
Tumhare bigair kaise katega 
 ye  zindagi  ka  safar ,
Akeli  chaloon , ab  kaun see dagar ,
Bigair  tumhare  kaise  jeeyenge ,
apne paas hame bhula lo humdum 
Saath saath rahenge hum tum hardum 

Rab se mangti  hoon mai ye hi dua ,
Rab mere, do bichde  hua dilon  ko mila .




Yaad aane par aansoo  na behna barri baat hai,
Dil ka kaabu main rehna barri baat hai..
Khuda hame itne takat de ,ke ansoo tham jayen,
Zindagi me jo mila hai usee me khushi se jut jayen .


No comments:

Post a Comment